Wednesday, December 10, 2008

Kutte ki Kahani

Ek din ek kutta jungle main raasta kho gaya. Tabhi usane dekha ek sher uskii taraf aa raha hai. Kutte ki saans sookh gayi. "Aaj to kaam tamaam mera!" usne socha. Phir usne saamane kuchh sookhi haddiyan padi dekhi. Woh aate hue sher ki taraf peeth kar ke baith gaya aur ek sookhi hadii ko choosane laga aur zor zor se bolne laga, "wah! Sher ko khaane ka maza hi kuchh aur hai. Ek aur mil jaaye to poori daawat ho jayegi!" Aur usne zor se dakaar mara. Is bar sher sakate mein aa gayaa. Usne socha "ye kutta to sher ka shikar karta hai! Jaan bacha kara bhago!" Aur sher wahan se champat ho gaya.

Ped par baitha ek Bandar yeh sab tamasha dekh raha tha. Usne socha yeh mauka achha hai sher ko sari kahani bata deta hoon - sher se dosti ho jayegi aur usase zindagi bhar ke liye jaan ka khatra dur ho jayega. Woh phataphat sher ke pichhe bhaga. Kutte ne Bandar ko jaate hue dekh liya aur samajh gaya ki koi locha hai. Udhar Bandar ne sher ko sab bata diya ki kaise kutte ne use bewakoof banaya hai. Sher zor se dahada, "chal mere sath abhi uski leela kahatam karta hu" aur Bandar ko apani peeth par baitha kar sher kutte ki taraf lapka.

Kutte ne sher ko aate dekha to ek bar phir uskii taraf peeth karke baith gaya aur zor zor se bolne laga, "Is Bandar ko bheje ek ghanta ho gaya saala ek sher phaans kar nahi la sakta!"

No comments: